Wazifa Baraye Muhabbat( True Love )
How To Use:
This is a Roohani Wazifa for Love and this is a spiritual method for only those who really want a true love.- Read Surah-e-Ikhlas 105 times for 21 days after Fajar Prayer or Esha Prayer keeping the loved one in mind .
Amal kay lawazmaat, points for amal/wazifa
Here below are some points for amal if you keep these points then the result will be 100% InshAllah.1. Shadi ki neyat say perhna (khaloos e Neyat)2. Rizq e Halal ki pabandi3. Amal k doran namaz aur baqi arkaan ki pabandi4. Amal Ijazat lay ker kia jaye.5. Ager talib ya matloob per kisi kisam k jadu/jinnat k asraat zeyada hou tu pehly un ka ilaj kia jaye6. Amal say pehly ager 2 rakat salat u Toba perh ker Allah say apny gunahou ki mafi maang li jaye aur amal ki kamyabi k leye dua ki jaye.7. Awal akhir 7 ya 11 bar Darood shareef perha jaye.8. amal k doran maqsad (matloob) ka kamil tasawur kia jaye aur akhir may apna aur matloob ka naam (with mothe name) lay ker dua ki jaye. aur akhir may tasawur may he us ki taraf phoonk mari jaye.9. Amal Monday ko ya Thursday ko shuru kia jaye aur pehly din jis waqt perhy rozana pher usi waqt perha jaye.10. Amal ka kisi say zikar na kary aur Allah ki zaat say na’umeed na huwa jaye11. Amal shuru kerny say pehly saqda (apni haseyat k mutabiq) dia jaye.



molana sahab mein ne kal wazeefa shoro kerna hai ap se ejazat kuch din pehly ki li hui hai main ne kal se shoro karo gi plzzzzzzzzz mere leya dua karen wo lerka khud bhi raazi ho jae aur us gar waly bhi aur plzz mere leya dua karen ap sub jenty vhi yahan ho plz mere leya dua kia karo plz molana sahab mein boht pershan hon plzzzzzzzzzzzzzzzz mere leya dua karen …….
@Rabi
Allah pak kamyab kary aur jaiz tareeqy say khawahis pory kary ap ki ameen
mujhey is wazifay ki ijazat chiya.
@Haziq sheikh
permitted
mulana sahab mujhe ye pochna tha k kal main wazifa strt karun gi to bech main agr main apne kisi rishte dar k ghr chali jaun rehna or wahan bhi wazifa continue karun same tym per to shi hai ya wazifa jis jagah kya jaye usi jaga per karain?
mulana sahib dua belkul akhir me kare. . .i mean awal durood sharif per amal(105) per durood sharif and then names with mothers name then phoonk and akhir mai dua,,,,,,,kia esi tarha teek hai
@MM
yes is terha kia jaye
salam .plzz btaye k mahwary k din ko kaisay pora kran .mera 18 days ka cycle hota hai ya 17 days ka to main 17 ya 18 din kernay k bad mahwary aa janay k baad 2 3 din poray kron kia .plzzz muje jawab dejeye. ijazat denay k liye shukriya. aor meray amal ki kaamyabi k liye dua kren.
@cant tell my name
yes bad may wo din pory ker lain
Allay kamyab kary. ameen
maulana mera wazifa khatam hua mene akhri din wazifa majboori ki waja se fajar me karliya kya mera wazife me koi nuks tu nahi hoga na plz bataayien ab me apne wazife k result ka intizar karrahi ho ap dua karein
@Saba
ab ker lia jaye tu koe baat nae
salam maulana ,
Mai ap se apni problem share karna chahti hoon mujhe ye pata laga na hai ki mere har kaam mai gadbad kyun ho rahi hai
mere office ke kaam mai bhi bohot problem horahi hai ……………………………..pls meri madad karai mai kahi bhi kamiyab nahi ho paarahi hoon.plss
Allahhafiz
@Rajab
ap email ker lain
roohaniijaz@hotmail.com
salam
muje ye wazefa braye mohabbat ki ijazat chahiye. actually i m already married woman but i want to leave my husband and want to marry some other guy i really love him, i just cant live without him. plzz ijazat dejiye k main ye wazeefa kerlon aor us larkay k gher walay b maan jayen aor uski aor mery shadi ho jaye asani se aor muje pehlay shoher se chutkara b..plzzz ijazat den aor dua kren.
@Cant mention u can call bubbly
ap pehly husband ki mojoodgi may yeh wazifa 2nd person say shadi k leye nae ker sakti
ap ko talaq laine hou gi ager payar k elawa ap ki koe jayez problem ha tu pher ap talaq lay sakti ha jisy “khula” kaha jata ha warna nae.
sorry islam may is ki ijazat nae ha k
Salam
Mai ek larki sai pyar kerta hun. wo adopted hai or apney parents ko b nai bol sekti ! or mujhey kehti hai kai wo merey sath esi situation mai serious nai ho sekti … mai is wazifa ko istamal ker sekta hun??
@Hidden
yes
Aslam alaikum : uncle mein ye wazifa krna chahti hun. ejazat chaye.aur kya 21 din tak lazmi hai
@Ayesha
walaikum salam
ijazat ha
yes 21 days tak