Wazifa Baraye Muhabbat( True Love )
How To Use:
This is a Roohani Wazifa for Love and this is a spiritual method for only those who really want a true love.- Read Surah-e-Ikhlas 105 times for 21 days after Fajar Prayer or Esha Prayer keeping the loved one in mind .
Amal kay lawazmaat, points for amal/wazifa
Here below are some points for amal if you keep these points then the result will be 100% InshAllah.1. Shadi ki neyat say perhna (khaloos e Neyat)2. Rizq e Halal ki pabandi3. Amal k doran namaz aur baqi arkaan ki pabandi4. Amal Ijazat lay ker kia jaye.5. Ager talib ya matloob per kisi kisam k jadu/jinnat k asraat zeyada hou tu pehly un ka ilaj kia jaye6. Amal say pehly ager 2 rakat salat u Toba perh ker Allah say apny gunahou ki mafi maang li jaye aur amal ki kamyabi k leye dua ki jaye.7. Awal akhir 7 ya 11 bar Darood shareef perha jaye.8. amal k doran maqsad (matloob) ka kamil tasawur kia jaye aur akhir may apna aur matloob ka naam (with mothe name) lay ker dua ki jaye. aur akhir may tasawur may he us ki taraf phoonk mari jaye.9. Amal Monday ko ya Thursday ko shuru kia jaye aur pehly din jis waqt perhy rozana pher usi waqt perha jaye.10. Amal ka kisi say zikar na kary aur Allah ki zaat say na’umeed na huwa jaye11. Amal shuru kerny say pehly saqda (apni haseyat k mutabiq) dia jaye.


Assalam o alaikum, How r u Sir? i hope u will fine. Please give me permission for love marriage wazifa. i will b very thankfull 2 u. Thanks. May Allah Bless u Alwayz. Amin
@hafiz Irfan Ali
walaikum salam
yes. Alhumdu Lillah im fine
permitted
salam moulana shb mje b ijzat chahe is wazfe ki
@Samreen
ijazat ha
Assalaam alai kum wa rahmatullah wa barakatahu
Maulana sahab… sab se pehle boht boht shukriya aapka… main b is wazifa ko shuru karna chahti hun aur aapse iski ijaazat chahti hun… Saath hi aapki dua chahti hun main abhi boht mushkil waqt se guzar rahe hai hum sab.. bhai nahi hai aur ab main or meri bari behen sirf kaam karte hai aur log kaafi upar se ALLAH swt jaanta hai k inhe kya hogaya hai koi jaadu nahi hai per fir b badal gaye hai woh b is mushkil ki ghari mei aise pesh aate hai jaise k beraham ho, Maulana sahab aap please dua karein k inke dil mei mere liye muhabbat aur izzat ho aur humari puri family ko b shaamil rakhiyega, abhi boht mushkil waqt chal raha hai aur yeh b dua kijiyega k is wazife se kamyaabi haasil ho…
Jazaak ALLAH khair
please Ijaazat dijiyega mujhko main is thursday se shuru karna chahti hun
@Salina
walaikum salam W.W.
ijazat ha
Allah pak pershani ko khatam fermeye. ameen
ijazat chahiye wazeefa braye mohabbat ki.aor ye b btaye k mahwary beech main aa jaye to 21 days kaisay poray kren
@Mehwish younas
ijazat ha
Assalam-o-Alaikum,,,,,,,,,,,,,,,,, Uncle mayra yeh maslah hai kay may jis say pyaar karti hun woh mujay bohot zeada ignore kartay hain. Or dosri larkiyon say batayn kartay hain. Uncle plz mujay batayn kay may kia karun. May yeh wala wazeefa aik baar kar chuki hun. Kaal he yeh wazeefa khatam hoa hai. Uncle to kia may yeh wazeefa dubara say shuru karun? Plz uncle mujay batayn. Agar dubara say shuru karna hai to plz ijazzat day dayn. Or plz duaon may zaroor yaad rakhayn plz. Thank you.
@Walaikum salam
yes dubara say ker lain
@To All
bohat say common questions ha ju already bohat dafa bataye ja chuky ha amal k hawalay say
so tamam users pehly porany comments read ker lain.
aslamwalekum maulana sahib,
apkiizazat s m y wazifa kar arha hu plz y batae k kya rozana ek he jagah p baith kar karna hai y wazifa or we can change d room..plz revert
@Suhail
walaikum salam
jaga same rakhi jaey tu behter ha
Please give permission for the wazifa for love ( wazifa baraye hub hazri matloob) posted by admin on June 04 2010. Please allow permission to do this visa. Please reply soon i am in deep trouble.
@Sadia sheikh
permitted
sallam. . .today was the last day of my wazifa and i wan to start it again tomorrow. . .or i should wait 7days ….wat should i do?
@MM
wait 7days
mulana sahab mujhe ye pochna tha k wazifa jis jaga shuru kya jaye roz usi jaga parha jaye?
main agar bech main kisi chacha k ghr chali jaun to kya wazifa wahan bhi kr sakti hon ya wazifa toot jaye ga?
@sadwi
majbori ki waja say jaga change ker lain
main jaha shade karna chahte hon os larkey kay ghar wale razamand nahi hai.to kya ye wazifa main bhi kar sakte hon ya ye sirf un logo kay liye hai jin kay beloved in say kise waja say dur ho gaye hai?waise main love marriage wala wazefa bhi kar rahe hon.plz maujhey thk say guide karen.kya maujhey is wazefay ki zarorat hai?waose mere beloved ka behaviour mere sath bilkul thk hai.
@Saabaa
yes bilkul ghar walu ki razamandi ki neyat say shuru ker lain