Istikhara Online|Free Online Istikhara
How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method
Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. InshallahIstikahary k baary may chund baatain ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.1) Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)2) Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.3) Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.4) Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.5) Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.Istikhara kaisy kia jaye
Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar.Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai
- Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
- Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
- Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)













Meri MAA KA FAIMEEDA BA PUTLI BI HAI UN KI BAHOT TABIT KHRAB HAI MUJHE ISTKHARA KARNA HAI AUR PLZ AAP MRE MAA K LILE ZARUR DUA KARE PLZ
Mera naam Erfana
Ammi ka naam chand sultana
Husband ka naam akhtar hussain
Ammi ka naam khusbun nisa
Mere shohar se bhut an ban ho rahi h yahn tak wo rakkhne tayar nai h mai to unko bhut samjha rahi hu lekin wo nai maan rahe plz aap ishtekhra nikal k batye mere liy kya bhetar h mai to din raat dua karti hu plz
allah apke shoahar ko hidayat de
Should we need permission for this???
sir mara name urwa hai or ami ka name shaughfta parveen hai sir hum apni Zameen sale karna chahty hai
or gar kay halat din ba din khrab hoty ja rahy plzzzz es bary may kuch bataie.
Madina mjhe istakhara nikalwana he shadi ke lye lake ka name he Mohammad zia.or larki ka name he laiba gul ap istakhara nikal dain plzplz jalizjald
Mera naam firoz khan h maa ka naam ayesha bano h.me riste ke liye ishtikhara krwana chahta hu ladki ka naam sabiha bano maa ka naam zahida bano h.kya mera iss ladki se rista ho jayega kya ???
Assalam u Alaikum
mera name maryam hai
ami ka naam hazooran hai
main ne istikkhara karwana hai ke main maths ki field choose karoon ya science ki.
assalam u alaikum
mera naam maryam hai
ami ka naam hazooran hai
main istikhara karwana chahati hoon ke main maths loon ya science
Aoa maira name anaya ha main apny cusn k bary main istkhara krwana chahti hn love merige k bary main mri frnd ka name rida ha mthr name farzana lrky ka nam umar ha or mthr name zarena plz telme in ki shadi ho gi na
AOA. Hazrat Sb. Mara name Hafiz Muhammad Adrees ha. Waldha ka name. Nazeera he. Date of birth. 13.4.1991. Hazrat Sb mary career ka bary me bata de. Koyi job nh milti. Etni jaga aplay kiya ha. Mari ap sa guzarish ha. K mujy job kb mily ge. Me job k ly Islamabad gya ho. Par kam nh hoWa. Koyi asa wazifa bata de. Taky mujy kamyabi mil jaz. Boht parysan ho.
Aslamualikum , mera nam hina shehbaz ha meri ami ka naam rukhshnda ha.muje Allah ny umeed lgai ha muje bete ki khawish ha pori ho gi,