Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. InshallahIstikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar. 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)

Similar Posts

828 Comments

  1. Jaisa ke main ek jaanwaroon ka doctor ho aur mera masla ye hai k mijhe nori nhe mil rhi main ne bohat koshishen keinn magar kuch nhe hua aur mere walid sahib ki tabayat bhi kharab hoti hai to mujhe tension ho jati hai. mehrbani kar k mujhe ye bataen k mujhe nokri kab milegi aur baba ki tabayat kese theek hogi Mehrbani

  2. asalam o alaikum me ye puchna chahti hu k me ek rishtay k liay istikhara kar rai hu ek sal pehle b kia tha magar me khawab me dar jati the khawab yad nai hy magr dar jati the kuch arse bad phr istikhara kia or khawab me ne ne sabz bagh or bahar dekhi magr phr b tasali nai horai k kia chez sahe the pehli ya dusri ab ramzan k mahenay me dobara istikhara kar rai hu or pehle din khawab me shadi dekhe magr 3 4 admi the us shadi me siraf or sub kuch boht safaid safaid or saf saf tha farash b chamak raha tha un admio k kapre b safaid the ab ye yad nai k wo shadi meri the ya kisi or ki waha jo sofay the wo silver or golden colour me the. ap plz mujhe bata day k iska kia matlab hua. mujhe ye rishta krna chahye k nai

  3. Asalam o alikum
    Mera nam munazza shis hai. Me ek larkay se pyar karti ho.
    Larkay ka nam babar
    walida ka nam shahnaz

    Kya meri shadi is larkay se hogi. Agar hogi to kb tk hogi.
    Or shadi ke bad zindgi kesa guzregi?

  4. mery shohar nay mjhy mery ghar par chor dia hy wo meri har baat ko ghalt samjhty hay may 6 mahiny sy apny ghar par hun unki maa bht taiz hy mery shohar ka nam rafat raza khan or unki ammi ka naam gulnar jahan hy..

  5. asalam o alikum
    how r u?
    me ap se pochna cahti hon k mery bhai ka name muhammad asjid ha or meri walda ka nam zahida parveen ha mera bhai job k ly dubai visit pr jana cahta ha kia ye betr ha usky liye dubai jana ??
    thank u mughy umeed ha ap mri email ka reply zaror karin gy

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *