Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. InshallahIstikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar. 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)

Similar Posts

828 Comments

  1. 1). Larki Ka name Rumeesa Nadeem h r walida ka name Naheed Nadeem h.
    2).. Larkay ka name DOST MUHAMMAD r walida ka name KHADIJA BIBI h.
    3) ALLAH k karam se Dono Sunni h.
    4) ALLAH ki raza se Dono Raazi H.
    5) Abhi ghar walo se bat nh ki is waja se k pehle istekhara kara le hamare lie munasb h.
    6) Dono ka pehle kahin bhi rishta nh hua.
    7) ALLAH ki raza k lye hamari rehnumai kr de k hamre lie kya behter h.
    ALLAH apko Khush rakhe

  2. Jana mera khawand ghar ma dhan nahi day zaida waqat kam ma aur dosto ka saith hoty ha.hot buht zaida bolt ha air an aik saal sa who ratio ka kahi chaly Katy ha aur kam ka Katy ha .Mari teen batia ha aur very kind bar I khawish ha.aik orat Jo jado tony karwati ha us na Mary khawand ko pan say whoa ha kya who us or at ko chary ga ma buht parashan ho

  3. Salam
    mera naam yasir haai
    mein na beher ke mulaq ke leya paper deeya tha umid thi pass ho jao gay magar fail ho geyaa haai mera puri family wahan haan aur mein akila pakistan mein kuch ho gaya 1 hafta mein kuch jana ke ambasy ke taraf se acha ya nahi please mail me soon

  4. Salam mera name shazia hai mother name Mehronnisa hai larky ka name Muhammad Arif hai or mother name Zeenat hai reshta karna munasib hoga ya nai plzzz rehnumaai karain jazakAllah

  5. AoA,

    Mari Kapray ki dukaan hy, jes market ma hy wahan customer bohat kaam ata hy.

    Meharbani kr k ye batain k ma kiya karon…?
    meray liye ye dukaan sahi rahy gi k nahi…?

    Shukria.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *