Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. InshallahIstikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar. 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)

Similar Posts

828 Comments

  1. Aslam – o -Alaikum ,
    Mere huband k office ki ak brance khi men open hogi . or mere husband wahan jana chate hen .
    Mujhe pochna tha k wahan pe job or mustaqil rehaish rakhna hamare lye thek rah e ga.
    Mera nam Saima Kanwal
    Mother name Ishrat Nigah
    Husband name Ghufran
    Husband;s mother name Amina bb

    Kindly reply soon .
    Thanks.

  2. salam muje shadi k liye istikhara karwana hy larky ka naam syed bilal gilani
    or maa ko naam khalda hy
    or larki ka naam beenish or maa ka naam sadaf hy

  3. salam mujhy shadi k liye istikhara karwana hy plz mera kam karden
    laky ka naam syed bilal gilanior maa ka naam khalida hy
    larki ka naam beenish or maa ka naam sadaf hy

  4. Aslam O Alikum.
    janab mai apni job ko sa buhat pashan hon mere har kam mai mushkil hote hai zehni sakon nhe hai mai bank mai as a cashia job krta hon is job sa mutim nhe hon har kam roka hoa hai.mere mama ka name shehnaz hai mehrbani ap muj ko koe wazifa bata da k mera har kam asan ho jae aur bata da k muj pe koe jadu wagira tu nhe
    thanks..

  5. Assalam aalaikum. ….mujhe janna hai ki kya yeh ladhka mere liye sahi hai……mera naam sadaf akhter hai..meri mummy ka naam yasmin akhter hai mere papa ka naam kalim akhter hai…..woh ladhke ka naam danish ahmed hai uske papa ka naam md ashfaque hai…uski mummy ka naam zianut nisa hai….aap plz batayie kya mere liye yeh ladhka sahi hai…

  6. aoa!mera nika ho gya ha 2months before,muji aya bata den k rukhsati kab ho gi mera family bot pareshan ha ,?
    my name afshan malik
    mother name naseem akhater
    father name malik tahfeez ahmed
    my husband name.m.afan mughal
    mother name shahida begum
    father name khalid pervaiz

  7. Ramazan k pehle ashray say blood Pressure high ki bimari main mubitala hun. doctor se checkup karwaya to unho nay bataya kay tenshan ki waja say aap ka blood Pressure high hota hai. akhir aisi kia waja hai aap istekhara kar kay hamay batayen.

  8. Meri age 23 years hay, Ramazan k pehle ashray say blood Pressure high ki bimari main mubitala hun. doctor se checkup karwaya to unho nay bataya kay tenshan ki waja say aap ka blood Pressure high hota hai. akhir aisi kia waja hai aap istekhara kar kay hamay batayen.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *