Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. InshallahIstikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar. 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)

Similar Posts

828 Comments

  1. assalam u alikum hazrat mera naam syed ishaq shah he meri walda ka naam memoona he aur main ek larki se piyar karta hon uska naam naeema he uski walda ka naam rabiya he aur us se shadi karna chahta hon main ne ghar men baat ki sab ghar waly us py razi hen aqp mujhy istikhara kar k batain k ye mera rishata kesa rahy ga jazakallah

  2. mari ammi farida zulaikha unki hallat bohaat sereas hai canser unkay jisam main phal chuka hai docter nay bhi laa ilaj kardya hai ap unka istakhara ki jyeh

  3. sir,meri age 42years hay .aj kal meri tabiat kharab rehney lagi hay or shop bhi teek nahi chal rahi hay or ghar par bhi sister or bhai ka rishta bhi naheen horaha hhay mehbani farmakar rehnamai karian .shukria,

  4. Aslam o alikum
    mari shadi ko abi sirf 5 Month howy hai . Marey husband ki age takreeban 45 and mari 30 hia. Marey husband koo gussa bohat ata hia or jab ata hia to kisi ka lahaz nhi karty or even ka mara bhi nhi karty hai. Shadi halanky ka hamm dono ki razamandi sa howi hai lakin abi asa lagta hia jassey ya koi majboori ka rishta hooo mia bohat prashan hoo ka abi sa asa hai too baad mia kia hoga ya to sari life ka masla hai. Marey husband nature wise bohat achy hai lakin kabi kabi unka rawaya marey sath bohat ajeeb sa hojata hai jab mai unn sa payar sa baat karny ki kooshish karti hoo to asa mahsoos hota hai ka shayed unko koofat mahsoos hoti hai. Mai apko ya bata doo ka marey husband bhir hty hia. Mai apni life mia bohat sakoon chti hoo. Iss thra ki tension sa mia bohat sakht prashan hony ka alwa depression ka shikar hoti ja rhi hoo kabi kabi asa lagta hai ka asa hi rha too mai bohat jald khatm hojaoo gi. Pleas kuda ka laye mari madad karey. Ka marey husband marey sath acha salook krey mia kabi bhi unn sa larna nhi chti hoo or jab asa hota hai mia chop hojati hoo ka baat na agay jaye.
    Umeed hai ka ap mari madad karoo gay.
    Darakshan

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *