Istikhara Online|Free Online Istikhara

How to do Istikhara|Islamic Istikhara Method

Istikhara aur mashwary k bary may ahadees k andar bari takeed ayi ha. Jou kaam mashwary yani insanou ka apis may mil baith ker kisi b kaam k musbut ya manfi pehlu per sochna aur pher is k nateejay ko samny rakhty huwy Allah say mashwara yani Istikhara kary tu wo kabhi b na’muraad nae hou ga. InshallahIstikahary k baary may chund baatain  ju logu nay farz ker di hai un ka azala aur sahi tareeqa darj e zail ha.1)      Istikharay k leye nawafil perhny may raat ki qaid nae jub chahye perhain (mumnu waqt k elawa)2)      Istikhara khud kerna chaye is say insan ka taluq Allah Paak ki zaat e aali say jurta hai aj kal tu Istikhara k naam per karubar bun gaye hai.3)      Kisi b hadees k andar nae k Istikhara k baad khawab k andar jawab mily ga yeh tu Allah ki shaan ha wo jaisy chahye rehnamae ferma day. Chahye khawab k andar ya Dil k andar baat alqaa ker day. Khawab ka aana zarori nae.4)      Istikharay k baad ju baat dil may jum jaye aur paiwust hou jaye ya us kaam k leye halaat bunty jaye tu us ko he istikharay ka jawab samajna chaye.5)      Baaz auqaat itna time nae hota k istikhary ka mukamil amal dua k sath kia ja saky tu Shariat ka yehi hukam ha k sirf Dua e mazkoora (mukhtasir istikhara) ker lay yehi Istikhara hou jaye ga.

Istikhara kaisy kia jaye

 Sub say behtareen istakhara tu who ha ju Hadees k andar Duaya kalimaat k sath aya ha. Sub say pehly dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy phir mazqura dua e Istikhara perhy laiken awal akhir darood e Ibrahimi 11 baar. 

Zail may chund mujarib Istikhara k aamaal hai

  • Dou rakat Salat u Touba perhy baad may dou rakat Salat ul Hajatt perhy laikin is may dounu rakat may Surah Kousar perhy is k baad 11 bar darood pher
100 dafa Ya Rasheed’o  ar’shid’ni is k baad 100 dafa Salam Muhammad ur Rasool ul Allah Salal Allah hu alaye’he wa aalay’he wa sul’lum. (S.A.W.W)
  • Awal akhir darood e Ibrahimi dermeyan may Surah Inshirah (alum Nash’rah) 9 baar perh ker seeny per dum karain. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)
  • Ya Khabeer’o Akh’birni 99 bar awal akhir darood e paak 11bar. (Baqi hadayaat oper guzar chuki un per amal karain)

Similar Posts

828 Comments

  1. main bank mrkam karta tha mary apni ghalti sy mary job chaly gai 4 sall sy bayrozghar hoon ….kisi admi ko paisy diain hain usa jany k liay , kia mara kam ho jay ga mara usa ka visa lag jay ga…..

  2. AOA sir me ny apko mail ki hai plz mjhy istakhara kr dein plz. sir meri mail ka reply kr dein 3 din ho gaey mjy mail kiye.

  3. mery behan jis ka naam saba hai us ka rishata dekha hai us bary main bata de plese arslan name hai

  4. mery husband mujhy study visa per bahir behjna chahty thy ta k mein wahan ja k un ko bula sakon mein is doran pregnant ho gae tou unhun ny mera hamal b isi wajah sy zaya karwany ki kosish ki magr Allah ki taraf sy wo kud hi zaya ho gya phir unhun ny mujhy mekay bhaj diya aur 5 din bad un k mod numbar sy mujh sms aya jis mein 3 bar likha tha k mein tum ko talaq deta hun
    is silsaly mein hum ny mufti sy b ruju kiya un ka kehna hey k agr wo kud apny munh sy keh dy k msg us ny kiya hey to talaq ho gae hey app ki site sy mein ny wazifa pocha tha k wo inkar kar den kyun k mein wapis jana chahte hun aur wo wazifa kar b rahi hun plz istekhara kar k bataen k mein wahan wapis ja sakti hun k nae?aur ye bhtr hey k nae?

  5. Assalam walekum Janab,

    in the above mentioned Istikhara amal (Istikhbaar), in the end you mentioned that “if we do this amal 7 times after every farz namaz…” I wanted to ask which amal you’re refering to? Did you mean reciting Ya Khabeer -o Akhbirni 7 times after every farz namaz?

    Thanks

  6. saima ki shadi hoi thi aur divorce ho gayi us ki 2nd shadi ki jai toh acha ho ga us ki 2nd shadi k liya soch rahy hain us mei koi problem toh nai ho giplz bataya k us k liya kya acha hai kyon k us ko lagta hai k us se koi shadi nai kara ga ami ka naam ghzala shaheen aur abu ka naam mirza muhhammad jalil hai

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *